dil mera tir-e-sitamgar ka nishana ho gaya
dil mera tir-e-sitamgar ka nishana ho gaya
Bhartendu Harishchandra
MORE BYBhartendu Harishchandra
dil mirā tīr-e-sitamgar kā nishāna ho gayā
āfat-e-jāñ mere haq meñ dil lagānā ho gayā
ho gayā lāġhar jo us lailā-adā ke 'ishq meñ
misl-e-majnūñ haal merā bhī fasāna ho gayā
ḳhāksārī ne dikhāyā bā'd-e-murdan bhī 'urūj
āsmāñ turbat par mere shāmiyāna ho gayā
ḳhvāb-e-ġhaflat se zarā dekho to kab chauñke haiñ ham
qāfila mulk-e-adam ko jab ravāna ho gayā
fasl-e-gul meñ bhī rihā.ī kī na kuchh sūrat huī
qaid meñ sayyād mujh ko ik zamāna ho gayā
dil jalāyā sūrat-e-parvāna jab se 'ishq meñ
farz tab se sham' par aañsū bahāna ho gayā
aaj tak ai dil javāb-e-ḳhat na bhejā yaar ne
nāma-bar ko bhī ga.e kitnā zamāna ho gayā
pās-e-rusvā.ī se dekho paas aa sakte nahīñ
raat aa.ī niiñd kā tum ko bahāna ho gayā
ho pareshānī sar-e-mū bhī na zulf-e-yār ko
is liye merā dil-e-sad-chāk shāna ho gayā
baa'd murdan kaun aatā hai ḳhabar ko ai 'rasā'
ḳhatm bas kunj-e-lahad tak dostāna ho gayā
dil mera tir-e-sitamgar ka nishana ho gaya
aafat-e-jaan mere haq mein dil lagana ho gaya
ho gaya laghar jo us laila-ada ke 'ishq mein
misl-e-majnun haal mera bhi fasana ho gaya
KHaksari ne dikhaya ba'd-e-murdan bhi 'uruj
aasman turbat par mere shamiyana ho gaya
KHwab-e-ghaflat se zara dekho to kab chaunke hain hum
qafila mulk-e-adam ko jab rawana ho gaya
fasl-e-gul mein bhi rihai ki na kuchh surat hui
qaid mein sayyaad mujh ko ek zamana ho gaya
dil jalaya surat-e-parwana jab se 'ishq mein
farz tab se sham' par aansu bahana ho gaya
aaj tak ai dil jawab-e-KHat na bheja yar ne
nama-bar ko bhi gae kitna zamana ho gaya
pas-e-ruswai se dekho pas aa sakte nahin
raat aai nind ka tum ko bahana ho gaya
ho pareshani sar-e-mu bhi na zulf-e-yar ko
is liye mera dil-e-sad-chaak shana ho gaya
ba'd murdan kaun aata hai KHabar ko ai 'rasa'
KHatm bas kunj-e-lahad tak dostana ho gaya
- Book : Bhartendu Samagr (Pg. 270)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.