dil mera us shaKHs ki jagir hai
dil mirā us shaḳhs kī jāgīr hai
jis ke aane meñ abhī tāḳhīr hai
shaan se jiitā huuñ jo maiñ zindagī
ye mire ajdād kī tāsīr hai
asl meñ dekhā gayā to zindagī
bas hamārī maut kī tahrīr hai
dil mirā yuuñ hī nahīñ ghāyal huā
kuchh tumhārī bhī nazar meñ tiir hai
aadmī ye kaam kā hai sochnā
ye bhī to ik soch kī tā'mīr hai
maiñ jise samjhā thā apnā ham-safar
der se bolā ki bas rahgīr hai
aaj ke insān ko dekho zarā
har kisī ke pair meñ zanjīr hai
ye zamāna kis taraf baḌhne lagā
us taraf tā’zīr hī tā'zīr hai
maiñ hathelī par liye ik ḳhvāb ko
jā rahā huuñ jis taraf tā'bīr hai
dil mera us shaKHs ki jagir hai
jis ke aane mein abhi taKHir hai
shan se jita hun jo main zindagi
ye mere ajdad ki tasir hai
asl mein dekha gaya to zindagi
bas hamari maut ki tahrir hai
dil mera yun hi nahin ghayal hua
kuchh tumhaari bhi nazar mein tir hai
aadmi ye kaam ka hai sochna
ye bhi to ek soch ki ta'mir hai
main jise samjha tha apna ham-safar
der se bola ki bas rahgir hai
aaj ke insan ko dekho zara
har kisi ke pair mein zanjir hai
ye zamana kis taraf baDhne laga
us taraf ta’zir hi ta'zir hai
main hatheli par liye ek KHwab ko
ja raha hun jis taraf ta'bir hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.