dil mohabbat makan hai goya
dil mohabbat makān hai goyā
aarzū kā jahān hai goyā
ḳhaak meñ mil chuke ham aur is ko
aaj tak bhī gumān hai goyā
mere āzār dene ko vo shoḳh
dūsrā āsmān hai goyā
khol de muñh ḳhumoñ ke pīr-e-muġhāñ
aaj hī imtihān hai goyā
paañv aage na uTh sake vaañ se
us galī kā nishān hai goyā
terī tasvīr kyuuñ na bol uThe
is meñ āshiq kī jaan hai goyā
terā chup chup ye baiThnā 'sālik'
ik tarah kā bayān hai goyā
dil mohabbat makan hai goya
aarzu ka jahan hai goya
KHak mein mil chuke hum aur is ko
aaj tak bhi guman hai goya
mere aazar dene ko wo shoKH
dusra aasman hai goya
khol de munh KHumon ke pir-e-mughan
aaj hi imtihan hai goya
panw aage na uTh sake wan se
us gali ka nishan hai goya
teri taswir kyun na bol uThe
is mein aashiq ki jaan hai goya
tera chup chup ye baiThna 'salik'
ek tarah ka bayan hai goya
- Book : Kulliyat-e-Saalik (Pg. e-213 p-181)
- Author : Mirza Qurban Ali Salik Beg
- Publication : Imtiyaz Ali Taj,Majlis-e-Taraqqi-e-Adab, Lahore (1966)
- Edition : 1966
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.