dil mohabbat se bhar na jae kahin
dil mohabbat se bhar na jaa.e kahīñ
tū bhī yak-dam mukar na jaa.e kahīñ
thaam letī huuñ ḳhud ko pal pal maiñ
dil ye ashkoñ se bhar na jaa.e kahīñ
maiñ zamāne se thak chukī yaaro
ab ye merī nazar na jaa.e kahīñ
aane vaale ḳhizāñ ke mausam meñ
haar tanhā shajar na jaa.e kahīñ
aañkh pur-nam hai lab pe ḳhāmoshī
mauj-e-dariyā utar na jaa.e kahīñ
in taġhāful bharī adāoñ se
merī hastī bikhar na jaa.e kahīñ
koī us ko mirī ḳhabar de de
vaqt jaldī guzar na jaa.e kahīñ
dil mohabbat se bhar na jae kahin
tu bhi yak-dam mukar na jae kahin
tham leti hun KHud ko pal pal main
dil ye ashkon se bhar na jae kahin
main zamane se thak chuki yaro
ab ye meri nazar na jae kahin
aane wale KHizan ke mausam mein
haar tanha shajar na jae kahin
aankh pur-nam hai lab pe KHamoshi
mauj-e-dariya utar na jae kahin
in taghaful bhari adaon se
meri hasti bikhar na jae kahin
koi us ko meri KHabar de de
waqt jaldi guzar na jae kahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.