dil mohabbat siwa kuchh nahin chahta
dil mohabbat sivā kuchh nahīñ chāhtā
us kī ḳhātir ye kyā kuchh nahīñ chāhtā
yuuñ hī dariyā samundar meñ miltā rahe
aab bahtā huā kuchh nahīñ chāhtā
raat bhar jo jalā raushnī ke liye
sub.h se vo diyā kuchh nahīñ chāhtā
bas diloñ kī kashish se bharā ho safar
ishq kā qāfila kuchh nahīñ chāhtā
jo milo ehtirām-e-mohabbat ko tum
sab mujhe mil gayā kuchh nahīñ chāhtā
tum se 'betāb' ik chāhtā hai nazar
aur kyā hai duā kuchh nahīñ chāhtā
dil mohabbat siwa kuchh nahin chahta
us ki KHatir ye kya kuchh nahin chahta
yun hi dariya samundar mein milta rahe
aab bahta hua kuchh nahin chahta
raat bhar jo jala raushni ke liye
subh se wo diya kuchh nahin chahta
bas dilon ki kashish se bhara ho safar
ishq ka qafila kuchh nahin chahta
jo milo ehtiram-e-mohabbat ko tum
sab mujhe mil gaya kuchh nahin chahta
tum se 'betab' ek chahta hai nazar
aur kya hai dua kuchh nahin chahta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.