dil mubarak hon tujhko gham uske
dil mubārak hoñ tujh ko ġham us ke
haiñ karam kī tarah sitam us ke
jis ko achchhā lage na jām-e-sifāl
haath meñ de do jām-e-jam us ke
raunaqeñ baḌh ga.iiñ mire ghar kī
haiñ mubārak bahut qadam us ke
vo hameñ bhūlne lagā shāyad
ab to aate haiñ ḳhvāb kam us ke
sab ke sab lā-javāb baiThe haiñ
hai savāloñ meñ kitnā dam us ke
ab vo likkhegā bhuuk kī rūdād
haath meñ aa gayā qalam us ke
us ne baḳhshe the 'dāġh' jo ham ko
haiñ salāmat vo saare ġham us ke
dil mubarak hon tujh ko gham us ke
hain karam ki tarah sitam us ke
jis ko achchha lage na jam-e-sifal
hath mein de do jam-e-jam us ke
raunaqen baDh gain mere ghar ki
hain mubarak bahut qadam us ke
wo hamein bhulne laga shayad
ab to aate hain KHwab kam us ke
sab ke sab la-jawab baiThe hain
hai sawalon mein kitna dam us ke
ab wo likkhega bhuk ki rudad
hath mein aa gaya qalam us ke
us ne baKHshe the 'dagh' jo hum ko
hain salamat wo sare gham us ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.