dil mukaddar hai ā.īna-rū kā
na milā rañg se patā bū kā
hai dam-e-sub.h vo ḳhumārīñ aañkh
ek TuuTā tilism jaadū kā
kam jo Thahre jafā se merī vafā
to ye pasañg hai tarāzū kā
dil kī bechainiyāñ ḳhudā kī panāh
takiya haT haT gayā hai pahlū kā
kahīñ jaatī bahār ruktī hai
dāman aayā na haath meñ bū kā
hai na.ī qaid ab ye āzādī
zor TuuTā huā hai baazū kā
āñdhī aahoñ kī sail ashkoñ kī
ab nahīñ koī apne qaabū kā
qahqaha bhartī hai surāhī kyā
zarf ḳhum se sivā hai chullū kā
sotī qismat kī niiñd uḌāvegā
narm takiya kisī ke zaanū kā
ishq-bāzī hai jaan kī jokham
vahīñ maarā paḌā jahāñ chūkā
'ārzū' dil hai vaqf-e-bīm-o-umīd
jhilmilātā charāġh jugnū kā
dil mukaddar hai aaina-ru ka
na mila rang se pata bu ka
hai dam-e-subh wo KHumarin aankh
ek TuTa tilism jadu ka
kam jo Thahre jafa se meri wafa
to ye pasang hai taraazu ka
dil ki bechainiyan KHuda ki panah
takiya haT haT gaya hai pahlu ka
kahin jati bahaar rukti hai
daman aaya na hath mein bu ka
hai nai qaid ab ye aazadi
zor TuTa hua hai bazu ka
aandhi aahon ki sail ashkon ki
ab nahin koi apne qabu ka
qahqaha bharti hai surahi kya
zarf KHum se siwa hai chullu ka
soti qismat ki nind uDawega
narm takiya kisi ke zanu ka
ishq-bazi hai jaan ki jokham
wahin mara paDa jahan chuka
'arzu' dil hai waqf-e-bim-o-umid
jhilmilata charagh jugnu ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.