dil mutmain nahin hai nazar mutmain nahin
dil mutma.in nahīñ hai nazar mutma.in nahīñ
is daur-e-ibtilā meñ bashar mutma.in nahīñ
kaif-e-bahār bazm-e-tarab raqs-e-jām-e-mai
kis kaam ke haiñ dil hī agar mutma.in nahīñ
aalam kisī ke tīr-e-nazar kā shikār hai
phir bhī kisī kā tīr-e-nazar mutma.in nahīñ
kyā jaane kis maqām pe ye saath chhoḌ deñ
in rahbaroñ se ahl-e-safar mutma.in nahīñ
sau baar āshiyāna jalāne ke bāvajūd
merī taraf se barq-o-sharar mutma.in nahīñ
faizān-e-jalva aur zarā aam kījiye
dil ko to hai yaqīn-e-nazar mutma.in nahīñ
'maikash' ko mai-kada meñ bhī ġham se nahīñ mafar
haiñ bāda-ḳhvār jam.a magar mutma.in nahīñ
dil mutmain nahin hai nazar mutmain nahin
is daur-e-ibtila mein bashar mutmain nahin
kaif-e-bahaar bazm-e-tarab raqs-e-jam-e-mai
kis kaam ke hain dil hi agar mutmain nahin
aalam kisi ke tir-e-nazar ka shikar hai
phir bhi kisi ka tir-e-nazar mutmain nahin
kya jaane kis maqam pe ye sath chhoD den
in rahbaron se ahl-e-safar mutmain nahin
sau bar aashiyana jalane ke bawajud
meri taraf se barq-o-sharar mutmain nahin
faizan-e-jalwa aur zara aam kijiye
dil ko to hai yaqin-e-nazar mutmain nahin
'maikash' ko mai-kada mein bhi gham se nahin mafar
hain baada-KHwar jama magar mutmain nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.