dil muzmahil hai un ke KHayalon ke bawajud
dil muzmahil hai un ke ḳhayāloñ ke bāvajūd
ik sail-e-tīrgī hai ujāloñ ke bāvajūd
allah rī ārifāna-tajāhul kī shoḳhiyāñ
samjhe na merā haal misāloñ ke bāvajūd
badlā na chashm-e-shauq kā koī bhī zāviya
bigḌe hue zamāne kī chāloñ ke bāvajūd
vāraftagī-e-shauq ajab tāziyāna thī
baḌhnā paḌā hai paañv ko chhāloñ ke bāvajūd
un kī vafā pe aaj bhī īmān hai mirā
ai vahm tere sad.hā savāloñ ke bāvajūd
ye kaun sā maqām hai ai zo.am-e-āgahī
kuchh sūjhtā nahīñ hai ujāloñ ke bāvajūd
kam ho sakā na martaba-e-be-ḳhudī-e-shauq
aql-o-ḳhirad ke sad.hā kamāloñ ke bāvajūd
ishq ik ḳhayāl-e-ḳhām hai un ke ḳhayāl meñ
'qādir' ke aise chāhne vāloñ ke bāvajūd
dil muzmahil hai un ke KHayalon ke bawajud
ek sail-e-tirgi hai ujalon ke bawajud
allah ri aarifana-tajahul ki shoKHiyan
samjhe na mera haal misalon ke bawajud
badla na chashm-e-shauq ka koi bhi zawiya
bigDe hue zamane ki chaalon ke bawajud
waraftagi-e-shauq ajab taziyana thi
baDhna paDa hai panw ko chhaalon ke bawajud
un ki wafa pe aaj bhi iman hai mera
ai wahm tere sadha sawalon ke bawajud
ye kaun sa maqam hai ai zoam-e-agahi
kuchh sujhta nahin hai ujalon ke bawajud
kam ho saka na martaba-e-be-KHudi-e-shauq
aql-o-KHirad ke sadha kamalon ke bawajud
ishq ek KHayal-e-KHam hai un ke KHayal mein
'qadir' ke aise chahne walon ke bawajud
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.