dil muztarib hai aur nazar be-qarar hai
dil muztarib hai aur nazar be-qarār hai
ai aane vaale aa ki tirā intizār hai
aisā na ho ki mai-kada luT jaa.e sāqiyā
betāb tishnagī se har ik mai-gusār hai
ehsān uTh sakegā kisī aur kā to kyā
terī nigāh-e-lutf bhī ab dil pe baar hai
bichhḌā jo us se phir vo fazā meñ bikhar gayā
shāyad zamāna dosh-e-havā par savār hai
ham se nazar milā ke kaho sāhab-e-chaman
kis ke lahū se ġhuncha-o-gul par nikhār hai
donoñ jahāñ simaT ke mire dil meñ rah ga.e
shāyad tumhārā ġham hī ġham-e-rozgār hai
nazzāra-e-bahār se taskīñ ho kyā use
jis kī nazar meñ terā ruḳh-e-pur-bahār hai
phir ḳhanda-zan ho tujh ko mohabbat kā vāsta
terī hañsī se mere junūñ kā vaqār hai
vo garm-tāz arsa-e-hastī huuñ ai 'bahār'
aalam mire safar hī kā gard-o-ġhubār hai
dil muztarib hai aur nazar be-qarar hai
ai aane wale aa ki tera intizar hai
aisa na ho ki mai-kada luT jae saqiya
betab tishnagi se har ek mai-gusar hai
ehsan uTh sakega kisi aur ka to kya
teri nigah-e-lutf bhi ab dil pe bar hai
bichhDa jo us se phir wo faza mein bikhar gaya
shayad zamana dosh-e-hawa par sawar hai
hum se nazar mila ke kaho sahab-e-chaman
kis ke lahu se ghuncha-o-gul par nikhaar hai
donon jahan simaT ke mere dil mein rah gae
shayad tumhaara gham hi gham-e-rozgar hai
nazzara-e-bahaar se taskin ho kya use
jis ki nazar mein tera ruKH-e-pur-bahaar hai
phir KHanda-zan ho tujh ko mohabbat ka wasta
teri hansi se mere junun ka waqar hai
wo garm-taz arsa-e-hasti hun ai 'bahaar'
aalam mere safar hi ka gard-o-ghubar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.