dil na mana aql ne ye baat samjhai bahut
dil na mana aql ne ye baat samjhai bahut
Shan-e-Haider Bebak Amrohvi
MORE BYShan-e-Haider Bebak Amrohvi
dil na maanā aql ne ye baat samjhā.ī bahut
ishq meñ har gaam pe hotī hai rusvā.ī bahut
shohratoñ ke vāste hai bazm-ārā.ī bahut
mahfileñ raas aa.iiñ tum ko ham ko tanhā.ī bahut
is ġhalat-fahmī meñ maiñ ne kho diyā apnā vaqār
us ne kī thī ek din merī pazīrā.ī bahut
kuchh hasīñ yādoñ ke manzar shaam se āñkhoñ meñ the
shab ko mere paas niiñd aa.ī to pachhtā.ī bahut
aisī bastī meñ miyāñ amn-o-amāñ kā kyā savāl
sulh-jū kam hoñ jahāñ par aur balvā.ī bahut
go ba-zāhir haath us ke ḳhūn-ālūda nahīñ
nafratoñ kī aag lekin us ne bhaḌkā.ī bahut
bik rahe haiñ āj-kal be-bhāv logoñ ke zamīr
log kyoñ kahte haiñ duniyā meñ hai mahñgā.ī bahut
ehtisāb-e-zīst karne ke liye baiThā thā maiñ
yaad aa.ī dostoñ kī kār-farmā.ī bahut
zindagī bhar maiñ rahā huuñ rahrav-e-rāh-e-vafā
in vafāoñ kī magar maiñ ne sazā paa.ī bahut
pasta-qad koshāñ haiñ merā qad ghaTāne ke liye
par mujhe allāh ne baḳhshī hai ūñchā.ī bahut
tālib-e-shohrat nahīñ 'bebāk' maiñ ye soch kar
ek do kā zikr kyā us ke haiñ shaidā.ī bahut
dil na mana aql ne ye baat samjhai bahut
ishq mein har gam pe hoti hai ruswai bahut
shohraton ke waste hai bazm-arai bahut
mahfilen ras aain tum ko hum ko tanhai bahut
is ghalat-fahmi mein main ne kho diya apna waqar
us ne ki thi ek din meri pazirai bahut
kuchh hasin yaadon ke manzar sham se aankhon mein the
shab ko mere pas nind aai to pachhtai bahut
aisi basti mein miyan amn-o-aman ka kya sawal
sulh-ju kam hon jahan par aur balwai bahut
go ba-zahir hath us ke KHun-aluda nahin
nafraton ki aag lekin us ne bhaDkai bahut
bik rahe hain aaj-kal be-bhaw logon ke zamir
log kyon kahte hain duniya mein hai mahngai bahut
ehtisab-e-zist karne ke liye baiTha tha main
yaad aai doston ki kar-farmai bahut
zindagi bhar main raha hun rahraw-e-rah-e-wafa
in wafaon ki magar main ne saza pai bahut
pasta-qad koshan hain mera qad ghaTane ke liye
par mujhe allah ne baKHshi hai unchai bahut
talib-e-shohrat nahin 'bebak' main ye soch kar
ek do ka zikr kya us ke hain shaidai bahut
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.