dil nahin hai to justuju bhi nahin
dil nahīñ hai to justujū bhī nahīñ
ab koī shahr-e-ārzū bhī nahīñ
ishq āzād hai kashākash se
nāma-bar bhī nahīñ adū bhī nahīñ
hāl-o-ahvāl kuchh nahīñ mālūm
ek muddat se guftugū bhī nahīñ
har havāla na.ī kitāb se hai
koī aizan koī hamū bhī nahīñ
mehrbāñ hai to apne matlab se
varna vo aisā narm-ḳhū bhī nahīñ
ab bas āñkhoñ se dil nikal aa.e
ashk bhī ḳhushk haiñ lahū bhī nahīñ
haq-o-bātil kī baat hī kyā hai
teġh ko haibat-e-gulū bhī nahīñ
āḳhir-e-kār kuchh to TūTegā
shart-e-tauba bhī hai subū bhī nahīñ
dil nahin hai to justuju bhi nahin
ab koi shahr-e-arzu bhi nahin
ishq aazad hai kashakash se
nama-bar bhi nahin adu bhi nahin
haal-o-ahwal kuchh nahin malum
ek muddat se guftugu bhi nahin
har hawala nai kitab se hai
koi aizan koi hamu bhi nahin
mehrban hai to apne matlab se
warna wo aisa narm-KHu bhi nahin
ab bas aankhon se dil nikal aae
ashk bhi KHushk hain lahu bhi nahin
haq-o-baatil ki baat hi kya hai
tegh ko haibat-e-gulu bhi nahin
aaKHir-e-kar kuchh to TuTega
shart-e-tauba bhi hai subu bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.