dil nahin khinchta hai bin majnun bayaban ki taraf
dil nahin khinchta hai bin majnun bayaban ki taraf
Inamullah Khan Yaqeen
MORE BYInamullah Khan Yaqeen
dil nahīñ khiñchtā hai bin majnūñ bayābāñ kī taraf
ḳhush nahīñ aatā nazar karnā ġhazālāñ kī taraf
fasl-e-gul kī ham asīroñ ko ḳhabar kab hai vale
in dinoñ meñ shor sā kuchh hai gulistāñ kī taraf
aag kī mujh ko lagī hai pyaas ye kyūñkar bujhe
kyūñki dekhūñ sair us ḳhurshīd-e-tābāñ kī taraf
is havā meñ rahm kar saaqī ki be-jām-e-sharāb
dekh kar chhātī bharī aatī hai bārāñ kī taraf
sehr ke Dore jo sunte the so ab dekhe 'yaqīñ'
dil khiñchā jaatā hai us zulf-e-pareshāñ kī taraf
dil nahin khinchta hai bin majnun bayaban ki taraf
KHush nahin aata nazar karna ghazalan ki taraf
fasl-e-gul ki hum asiron ko KHabar kab hai wale
in dinon mein shor sa kuchh hai gulistan ki taraf
aag ki mujh ko lagi hai pyas ye kyunkar bujhe
kyunki dekhun sair us KHurshid-e-taban ki taraf
is hawa mein rahm kar saqi ki be-jam-e-sharab
dekh kar chhati bhari aati hai baran ki taraf
sehr ke Dore jo sunte the so ab dekhe 'yaqin'
dil khincha jata hai us zulf-e-pareshan ki taraf
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.