dil nahin pahlu mein dard-e-dil nahin
dil nahīñ pahlū meñ dard-e-dil nahīñ
aah ab jiine kā kuchh hāsil nahīñ
sard hai hañgāma-e-bazm-e-jahāñ
maiñ nahīñ to garmī-e-mahfil nahīñ
aarzū jab thī hazāroñ the harīf
ab koī bhī ġham-gusār-e-dil nahīñ
ai nigāh-e-shauq tū dhokā na de
vo to hai hadd-e-nazar sāhil nahīñ
'rāz' mil jaatī hai fikroñ se najāt
shā.irī kā aur kuchh hāsil nahīñ
dil nahin pahlu mein dard-e-dil nahin
aah ab jine ka kuchh hasil nahin
sard hai hangama-e-bazm-e-jahan
main nahin to garmi-e-mahfil nahin
aarzu jab thi hazaron the harif
ab koi bhi gham-gusar-e-dil nahin
ai nigah-e-shauq tu dhoka na de
wo to hai hadd-e-nazar sahil nahin
'raaz' mil jati hai fikron se najat
shairi ka aur kuchh hasil nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.