Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil nahin toDa so dilbar ne baDa rahm kiya

Tahir Saood Kiratpuri

dil nahin toDa so dilbar ne baDa rahm kiya

Tahir Saood Kiratpuri

MORE BYTahir Saood Kiratpuri

    dil nahīñ toḌā so dilbar ne baḌā rahm kiyā

    ab ke ā.īne pe patthar ne baḌā rahm kiyā

    maiñ use bhuul gayā chāhe jahāñ bhuul gayā

    maiñ samajhtā huuñ muqaddar ne baḌā rahm kiyā

    zaḳhm ahl-e-zamāna ko havā lagne na

    donoñ afrād pe chādar ne baḌā rahm kiyā

    saañp ne apne farā.ez na farāmosh kiye

    us ko bhī Das liyā jis ghar ne baḌā rahm kiyā

    ham to bekārī vahshat se fanā ho jaate

    ham se nākāra pe daftar ne baḌā rahm kiyā

    bhaa.ī ke vāste tūfān se bhar ke laḌā

    ik samundar pe samundar ne baḌā rahm kiyā

    ek qabr meñ donoñ ko utārā us ne

    'ishq par ye bhī sitamgar ne baḌā rahm kiyā

    dil nahin toDa so dilbar ne baDa rahm kiya

    ab ke aaine pe patthar ne baDa rahm kiya

    main use bhul gaya chahe jahan bhul gaya

    main samajhta hun muqaddar ne baDa rahm kiya

    zaKHm ki ahl-e-zamana ko hawa lagne na di

    donon afrad pe chadar ne baDa rahm kiya

    sanp ne apne faraez na faramosh kiye

    us ko bhi Das liya jis ghar ne baDa rahm kiya

    hum to bekari ki wahshat se fana ho jate

    hum se nakara pe daftar ne baDa rahm kiya

    bhai ke waste tufan se ji bhar ke laDa

    ek samundar pe samundar ne baDa rahm kiya

    ek hi qabr mein donon ko utara us ne

    'ishq par ye bhi sitamgar ne baDa rahm kiya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now