dil nahin us lab-e-KHandan ki taraf jata hai
dil nahīñ us lab-e-ḳhandāñ kī taraf jaatā hai
tishna-lab chashma-e-haivāñ kī taraf jaatā hai
yaar tujh bin mujhe le jaate haiñ yuuñ baaġh meñ khīñch
jaise mujrim koī zindāñ kī taraf jaatā hai
mahv yaañ tak huuñ tasavvur meñ tire az-rah-e-shauq
haath har dam tire dāmāñ kī taraf jaatā hai
bad-gumāñ ye huuñ ki saath uTh ke chalā jaatā huuñ
vahm gar kūcha-e-jānāñ kī taraf jaatā hai
kyā kisī parda-nashīñ par hai tū āshiq 'mārūf'
chhup ke jo gosha-e-pinhāñ kī taraf jaatā hai
dil nahin us lab-e-KHandan ki taraf jata hai
tishna-lab chashma-e-haiwan ki taraf jata hai
yar tujh bin mujhe le jate hain yun bagh mein khinch
jaise mujrim koi zindan ki taraf jata hai
mahw yan tak hun tasawwur mein tere az-rah-e-shauq
hath har dam tere daman ki taraf jata hai
bad-guman ye hun ki sath uTh ke chala jata hun
wahm gar kucha-e-jaanan ki taraf jata hai
kya kisi parda-nashin par hai tu aashiq 'maruf'
chhup ke jo gosha-e-pinhan ki taraf jata hai
- Intikhab-e-Sukhan,Volume-001
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.