dil-nashin si ek sahar aur arghawani rang
dil-nashīñ sī ik sahar aur arġhavānī rang
vasl ke lamhāt par the kāmrānī rang
us kā pahlū us kā saaya ḳhvāb kyoñ TuuTā
rah-guzāroñ meñ saje the jāvedānī rang
ik adā-e-dilbarīñ se paas se guzrā
the lab-o-ruḳhsār phir ātish-fishānī rang
tere mere biich thā itnā ta.alluq bas
shā.irī ko chāhiye the kuchh kahānī rang
qurmuzī sā āftāb aur dhundlā joban
āsmāñ par duur tak the āsmānī rang
thā kinārā jhiil kā aur koh kā dāman
sej thī phūloñ kī aur the zāfrānī rang
thā nigah meñ kis kā partav ai banafshī sub.h
yaar kā chehra thā yā phir saat dhānī rang
dil-nashin si ek sahar aur arghawani rang
wasl ke lamhat par the kaamrani rang
us ka pahlu us ka saya KHwab kyon TuTa
rah-guzaron mein saje the jawedani rang
ek ada-e-dilbarin se pas se guzra
the lab-o-ruKHsar phir aatish-fishani rang
tere mere bich tha itna talluq bas
shairi ko chahiye the kuchh kahani rang
qurmuzi sa aaftab aur dhundla joban
aasman par dur tak the aasmani rang
tha kinara jhil ka aur koh ka daman
sej thi phulon ki aur the zafrani rang
tha nigah mein kis ka partaw ai banafshi subh
yar ka chehra tha ya phir sat dhani rang
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.