dil ne aisā kabhī na sochā thā
jo bhī dekhā thā ek dhokā thā
mujh ko uryāniyoñ kā ġham kyoñ thā
jab ki saarā hujūm nangā thā
andhe ġhāroñ kī samt bhej diyā
maiñ ne rasta kisī se pūchhā thā
zindagī husn kā.enāt hasīñ
ḳhvāb āñkhoñ ne ek dekhā thā
kis liye dil kī dhartī banjar thī
abr to be-hisāb barsā thā
raushnī meñ na kuchh nazar aa.e
haa.e saarā nagar hī andhā thā
ab bhī zaḳhmī haiñ 'raaj paañv mire
jaane kis dasht se maiñ guzrā thā
dil ne aisa kabhi na socha tha
jo bhi dekha tha ek dhoka tha
mujh ko uryaniyon ka gham kyon tha
jab ki sara hujum nanga tha
andhe ghaaron ki samt bhej diya
main ne rasta kisi se puchha tha
zindagi husn kaenat hasin
KHwab aankhon ne ek dekha tha
kis liye dil ki dharti banjar thi
abr to be-hisab barsa tha
raushni mein na kuchh nazar aae
hae sara nagar hi andha tha
ab bhi zaKHmi hain 'raj panw mere
jaane kis dasht se main guzra tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.