dil ne chaha tha ki ho aabla-pai ruKHsat
dil ne chāhā thā ki ho ābla-pā.ī ruḳhsat
zindagī de ke huī sho.ala-fishānī ruḳhsat
tum ne jab sham.a bujhā.ī to samajh meñ aayā
ek mauhūm sā rishta thā so vo bhī ruḳhsat
maiñ udāsī sar-e-bāzār bhī lā.ūñ aise
jaise paanī kī tamannā meñ ho kashtī ruḳhsat
mere isrār pe maujūd thā ghar pe lekin
us ne ḳhāmosh libāsī meñ likhī thī ruḳhsat
terī tā.īd kī tasvīr se jī uTThe the
nahīñ ma.alūm thā ye ret hai paanī ruḳhsat
maiñ havāla tirī tahrīr kā kis naam se duuñ
mujh se tū maañg chukā harf-e-ta.allī ruḳhsat
dil ne chaha tha ki ho aabla-pai ruKHsat
zindagi de ke hui shoala-fishani ruKHsat
tum ne jab shama bujhai to samajh mein aaya
ek mauhum sa rishta tha so wo bhi ruKHsat
main udasi sar-e-bazar bhi laun aise
jaise pani ki tamanna mein ho kashti ruKHsat
mere israr pe maujud tha ghar pe lekin
us ne KHamosh libasi mein likhi thi ruKHsat
teri taid ki taswir se ji uTThe the
nahin malum tha ye ret hai pani ruKHsat
main hawala teri tahrir ka kis nam se dun
mujh se tu mang chuka harf-e-talli ruKHsat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.