dil ne ek ek dukh saha tanha
dil ne ek ek dukh sahā tanhā
anjuman anjuman rahā tanhā
Dhalte sāyoñ meñ tere kūche se
koī guzrā hai bār-hā tanhā
terī aahaT qadam qadam aur maiñ
is ma.ayyat meñ bhī rahā tanhā
kahnā yādoñ ke barf-zāroñ se
ek aañsū bahā bahā tanhā
Dūbte sāhiloñ ke moḌ pe dil
ik khañDar sā rahā sahā tanhā
gūñjtā rah gayā ḳhalāoñ meñ
vaqt kā ek qahqaha tanhā
dil ne ek ek dukh saha tanha
anjuman anjuman raha tanha
Dhalte sayon mein tere kuche se
koi guzra hai bar-ha tanha
teri aahaT qadam qadam aur main
is mayyat mein bhi raha tanha
kahna yaadon ke barf-zaron se
ek aansu baha baha tanha
Dubte sahilon ke moD pe dil
ek khanDar sa raha saha tanha
gunjta rah gaya KHalaon mein
waqt ka ek qahqaha tanha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.