dil ne fareb ishq mein khae kahan kahan
dil ne fareb ishq meñ khaa.e kahāñ kahāñ
darmāndagī meñ ashk bahā.e kahāñ kahāñ
sajde kahāñ kahāñ na kiye rāh-e-shauq meñ
ka.abe qadam qadam pe basā.e kahāñ kahāñ
bazm-e-bahār-e-kunj-e-haram sehn-e-mai-kada
dīvāngī ne hashr uThā.e kahāñ kahāñ
har manzar-e-bahār meñ terā jamāl hai
vahshat sar-e-niyāz jhukā.e kahāñ kahāñ
āġhāz-e-ġham urūj-e-junūñ intihā-e-shauq
vo zindagī meñ yaad na aa.e kahāñ kahāñ
'maz.har' shab-e-firāq kī zulmat na dhul sakī
ham ne charāġh-e-dāġh jalā.e kahāñ kahāñ
dil ne fareb ishq mein khae kahan kahan
darmandagi mein ashk bahae kahan kahan
sajde kahan kahan na kiye rah-e-shauq mein
kabe qadam qadam pe basae kahan kahan
bazm-e-bahaar-e-kunj-e-haram sehn-e-mai-kada
diwangi ne hashr uThae kahan kahan
har manzar-e-bahaar mein tera jamal hai
wahshat sar-e-niyaz jhukae kahan kahan
aaghaz-e-gham uruj-e-junun intiha-e-shauq
wo zindagi mein yaad na aae kahan kahan
'mazhar' shab-e-firaq ki zulmat na dhul saki
hum ne charagh-e-dagh jalae kahan kahan
- Book : Khamyazah (Pg. 105)
- Author : Sayed Mazhar gilani
- Publication : Sayed Suhail wajid Fauq (1978)
- Edition : 1978
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.