dil ne jab se ye choT khai hai
dil ne jab se ye choT khaa.ī hai
zindagī ḳhaak meñ nahā.ī hai
jab bhī apnī use sunā.ī hai
us ne to bas hañsī uḌaa.ī hai
ḳhushiyoñ ke phuul khil uThe man meñ
rut milan kī bahār laa.ī hai
maiñ jise chaah ke miTā na sakūñ
dil meñ ḳhvāhish ajab samā.ī hai
bhīgī rahtī haiñ ab mirī āñkheñ
dard kī in dinoñ rasā.ī hai
aise milnā bhī koī milnā hai
jis kā anjām hī judā.ī hai
jo ke miltī hai muskurā ke bahut
sab se kartī vahī burā.ī hai
jaan de kar bhī kuchh nahīñ hāsil
us ne karnī hī bevafā.ī hai
nahīñ sāthī koī 'shagufta' kā
ik faqat tujh se āshnā.ī hai
dil ne jab se ye choT khai hai
zindagi KHak mein nahai hai
jab bhi apni use sunai hai
us ne to bas hansi uDai hai
KHushiyon ke phul khil uThe man mein
rut milan ki bahaar lai hai
main jise chah ke miTa na sakun
dil mein KHwahish ajab samai hai
bhigi rahti hain ab meri aankhen
dard ki in dinon rasai hai
aise milna bhi koi milna hai
jis ka anjam hi judai hai
jo ke milti hai muskura ke bahut
sab se karti wahi burai hai
jaan de kar bhi kuchh nahin hasil
us ne karni hi bewafai hai
nahin sathi koi 'shagufta' ka
ek faqat tujh se aashnai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.