dil ne khulne ki rah le li hai
dil ne khulne kī raah le lī hai
bādaloñ meñ panāh le lī hai
muskurā kar tumhārī chāhat ne
mujh se jiine kī chaah le lī hai
mere ḳhvāboñ ne dil ke sahrā meñ
aaj ik qabr-gāh le lī hai
utnī shiddat kā ġham nahīñ tum ko
tum ne jitnī salāh le lī hai
dil ne khulne ki rah le li hai
baadalon mein panah le li hai
muskura kar tumhaari chahat ne
mujh se jine ki chah le li hai
mere KHwabon ne dil ke sahra mein
aaj ek qabr-gah le li hai
utni shiddat ka gham nahin tum ko
tum ne jitni salah le li hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.