dil ne yun hausla-e-nala-o-fariyaad kiya
dil ne yuuñ hausla-e-nāla-o-fariyād kiyā
maiñ ye samjhā shab-e-ġham tum ne kuchh irshād kiyā
jabr-e-fitrat ne ye achchhā karam ījād kiyā
ki mujhe vus.at-e-zanjīr tak āzād kiyā
tum na the dil meñ to vīrāñ thī kahānī merī
ishq ne lafz ko mafhūm se ābād kiyā
terā andāz-e-tabassum hai ki unvān-e-bahār
jab koī phuul khilā maiñ ne tujhe yaad kiyā
jhilmilāne lagī lau sham.a kī gul murjhā.e
ham ne jab bazm meñ zikr-e-dil-e-nāshād kiyā
intihā-e-ġham-e-furqat meñ vo din bhī aa.e
maiñ tujhe bhuul gayā tū ne mujhe yaad kiyā
imtiyāz-e-karam-o-jaur se mahrūm haiñ sab
tū ne jis dil ko miTāyā use ābād kiyā
thā asīrī meñ hameñ sirf gulistāñ kā ḳhayāl
chhūT kar aa.e to zindāñ ko bahut yaad aayā
kaun samjhegā mirā ālam-e-rindī 'shāhid'
jab kahīñ jī na lagā mai-kada ābād kiyā
dil ne yun hausla-e-nala-o-fariyaad kiya
main ye samjha shab-e-gham tum ne kuchh irshad kiya
jabr-e-fitrat ne ye achchha karam ijad kiya
ki mujhe wusat-e-zanjir tak aazad kiya
tum na the dil mein to viran thi kahani meri
ishq ne lafz ko mafhum se aabaad kiya
tera andaz-e-tabassum hai ki unwan-e-bahaar
jab koi phul khila main ne tujhe yaad kiya
jhilmilane lagi lau shama ki gul murjhae
hum ne jab bazm mein zikr-e-dil-e-nashad kiya
intiha-e-gham-e-furqat mein wo din bhi aae
main tujhe bhul gaya tu ne mujhe yaad kiya
imtiyaz-e-karam-o-jaur se mahrum hain sab
tu ne jis dil ko miTaya use aabaad kiya
tha asiri mein hamein sirf gulistan ka KHayal
chhuT kar aae to zindan ko bahut yaad aaya
kaun samjhega mera aalam-e-rindi 'shahid'
jab kahin ji na laga mai-kada aabaad kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.