dil-o-din kho ke koi yas ki duniya na bane
dil-o-dīñ kho ke koī yaas kī duniyā na bane
na bane but ye ḳhudā bhī hoñ to bandā na bane
dard ho is dil-e-sañgīñ meñ to hiirā na bane
pāras aahan ko jo chhū jaa.e to sonā na bane
rah gayā khiñch ke tirā ek hī naqsha zālim
qudrat ab chāhe banānā bhī to tujh sā na bane
ḳhud hī paiġhām ham apnā unheñ pahuñchā.eñge
kaam mushkil hai ye qāsid se bane yā na bane
jaan denā hai mohabbat meñ diye detā huuñ
qabr merī tire kūche meñ bane yā na bane
ḳhaak kar de na kahīñ barq-e-jamāl ai 'shā.eq'
merī hastī se kaho biich meñ parvāna bane
dil-o-din kho ke koi yas ki duniya na bane
na bane but ye KHuda bhi hon to banda na bane
dard ho is dil-e-sangin mein to hira na bane
paras aahan ko jo chhu jae to sona na bane
rah gaya khinch ke tera ek hi naqsha zalim
qudrat ab chahe banana bhi to tujh sa na bane
KHud hi paigham hum apna unhen pahunchaenge
kaam mushkil hai ye qasid se bane ya na bane
jaan dena hai mohabbat mein diye deta hun
qabr meri tere kuche mein bane ya na bane
KHak kar de na kahin barq-e-jamal ai 'shaeq'
meri hasti se kaho bich mein parwana bane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.