dil-o-dimagh jalae hain is amal ke liye
dil-o-dimāġh jalā.e haiñ is 'amal ke liye
na.ī zamīn nikālī na.ī ġhazal ke liye
nafāsatoñ meñ bhī apnī misāl aap haiñ ham
guloñ ke bose bhī ham ne sañbhal sañbhal ke liye
safar meñ rahte haiñ har-vaqt ḳhushbuoñ kī tarah
sukūñ milā na kahīñ ham ko ek pal ke liye
ye rāh-e-ishq-o-vafā hai yahāñ kā maslak hai
qadam qadam raho tayyār tum ajal ke liye
havā meñ is qadar tezābiyat samā.ī hai
ki shāḳh shāḳh tarastī hai phūl-o-phal ke liye
hare bhare haiñ har ik haal meñ vo ai 'aḳhtar'
qalandaroñ ko koī ġham nahīñ hai kal ke liye
dil-o-dimagh jalae hain is 'amal ke liye
nai zamin nikali nai ghazal ke liye
nafasaton mein bhi apni misal aap hain hum
gulon ke bose bhi hum ne sanbhal sanbhal ke liye
safar mein rahte hain har-waqt KHushbuon ki tarah
sukun mila na kahin hum ko ek pal ke liye
ye rah-e-ishq-o-wafa hai yahan ka maslak hai
qadam qadam raho tayyar tum ajal ke liye
hawa mein is qadar tezabiyat samai hai
ki shaKH shaKH tarasti hai phul-o-phal ke liye
hare bhare hain har ek haal mein wo ai 'aKHtar'
qalandaron ko koi gham nahin hai kal ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.