dil-o-dimagh ki zid hai ki apne ghar mein raho
dil-o-dimāġh kī zid hai ki apne ghar meñ raho
mizāj kahtā hai har vaqt ik safar meñ raho
vajūd kuchh na rahe sirf is tarah ho jaao
raho to aise ki har lamha har nazar meñ raho
jhulas rahe haiñ ka.ī jism sā.ebānoñ meñ
kis e'tibār pe phir sāya-e-shajar meñ raho
kisī daraḳht se māñgo na saa.e kī ḳhairāt
nabard-āzmā sūraj se dopahar meñ raho
dil-e-'sharar' meñ nahīñ kuchh bhī tajraboñ ke sivā
jo rahnā hai to tamāzat bano sharar meñ raho
dil-o-dimagh ki zid hai ki apne ghar mein raho
mizaj kahta hai har waqt ek safar mein raho
wajud kuchh na rahe sirf is tarah ho jao
raho to aise ki har lamha har nazar mein raho
jhulas rahe hain kai jism saebanon mein
kis e'tibar pe phir saya-e-shajar mein raho
kisi daraKHt se mango na sae ki KHairaat
nabard-azma suraj se dopahar mein raho
dil-e-'sharar' mein nahin kuchh bhi tajrabon ke siwa
jo rahna hai to tamazat bano sharar mein raho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.