dil-o-dimagh mein baham thin qurbaten kya kya
dil-o-dimāġh meñ bāham thiiñ qurbateñ kyā kyā
use bhulā ke bhī yaad aa.eñ sohbateñ kyā kyā
safar tamām havā de ke dāġh-e-ham-safarī
ḳhayāl-o-ḳhvāb huī haiñ rifāqateñ kyā kyā
Thahar Thahar ke bujhā āḳhirash sharāra-e-dil
dhuāñ dhuāñ huiiñ ghuT ghuT ke hasrateñ kyā kyā
vo ham se chhin bhī gayā jaañ se ham ga.e bhī nahīñ
vafā ne aaj dilā.ī haiñ ġhairateñ kyā kyā
abhī to 'uzr-e-mulāqāt hī tak aa.e haiñ
abhī to dekhiye hoñgī qabāhateñ kyā kyā
vo 'bazm' jo dil-o-jāñ se 'azīz thā ham ko
usī 'azīz ne dī haiñ aziyyateñ kyā kyā
dil-o-dimagh mein baham thin qurbaten kya kya
use bhula ke bhi yaad aaen sohbaten kya kya
safar tamam hawa de ke dagh-e-ham-safari
KHayal-o-KHwab hui hain rifaqaten kya kya
Thahar Thahar ke bujha aaKHirash sharara-e-dil
dhuan dhuan huin ghuT ghuT ke hasraten kya kya
wo hum se chhin bhi gaya jaan se hum gae bhi nahin
wafa ne aaj dilai hain ghairaten kya kya
abhi to 'uzr-e-mulaqat hi tak aae hain
abhi to dekhiye hongi qabahaten kya kya
wo 'bazm' jo dil-o-jaan se 'aziz tha hum ko
usi 'aziz ne di hain aziyyaten kya kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.