dil-o-dimagh mein ek dhandli machi hui hai
dil-o-dimāġh meñ ik dhāñdlī machī huī hai
kahīñ se tez havā ishq kī chalī huī hai
ye merā kamra tirī yaad se sajā huā hai
aur is kī mez pe chūḌī tirī paḌī huī hai
galī ke moḌ se aage jo pāñchvāñ ghar hai
udāsī us ke dar-o-bām par likhī huī hai
vo wardrobe mahaktā thā jab tū aatā thā
ab us ke kapḌoñ meñ ḳhushbū tirī basī huī hai
sila to de koī rātoñ ke jāgne kā mujhe
ye merī aañkh tire ḳhvāb se bharī huī hai
ubhar rahī hai tirī chaap ab bhī ziine se
tujhe ga.e hue din to nahīñ sadī huī hai
dil-o-dimagh mein ek dhandli machi hui hai
kahin se tez hawa ishq ki chali hui hai
ye mera kamra teri yaad se saja hua hai
aur is ki mez pe chuDi teri paDi hui hai
gali ke moD se aage jo panchwan ghar hai
udasi us ke dar-o-baam par likhi hui hai
wo wardrobe mahakta tha jab tu aata tha
ab us ke kapDon mein KHushbu teri basi hui hai
sila to de koi raaton ke jagne ka mujhe
ye meri aankh tere KHwab se bhari hui hai
ubhar rahi hai teri chap ab bhi zine se
tujhe gae hue din to nahin sadi hui hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.