dil-o-dimagh mein phir mashwara sa hone laga
dil-o-dimāġh meñ phir mashvara sā hone lagā
maiñ apne aap se ḳhud hī lipaT ke rone lagā
sitāre TuuT ke girne lage bichhaune par
maiñ le ke chāñd ko bāñhoñ meñ jab bhī sone lagā
udhar nazar ne ta.āruf kā abr dikhlāyā
idhar maiñ apnī umīdoñ kī fasl bone lagā
dil-o-dimagh mein phir mashwara sa hone laga
main apne aap se KHud hi lipaT ke rone laga
sitare TuT ke girne lage bichhaune par
main le ke chand ko banhon mein jab bhi sone laga
udhar nazar ne taaruf ka abr dikhlaya
idhar main apni umidon ki fasl bone laga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.