dil-o-jaan hum nisar karte hain
dil-o-jāñ ham nisār karte haiñ
vo nigāhoñ se vaar karte haiñ
hāl-e-dil jab unheñ sunātā huuñ
aañkh vo ashk-bār karte haiñ
ham ne un se kabhī gila na kiyā
vo to shikve hazār karte haiñ
aa bhī jaao ki tāb-e-zabt nahīñ
har ghaḌī intizār karte haiñ
aañkh un se laḌī hai jab 'aḳhtar'
gul-o-bulbul sā pyaar karte haiñ
dil-o-jaan hum nisar karte hain
wo nigahon se war karte hain
haal-e-dil jab unhen sunata hun
aankh wo ashk-bar karte hain
hum ne un se kabhi gila na kiya
wo to shikwe hazar karte hain
aa bhi jao ki tab-e-zabt nahin
har ghaDi intizar karte hain
aankh un se laDi hai jab 'aKHtar'
gul-o-bulbul sa pyar karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.