dil-o-jaan ke fasane kya hue sab
dil-o-jāñ ke fasāne kyā hue sab
mohabbat ke tarāne kyā hue sab
yahāñ kuchh sūfiyoñ kā ghar thā pahle
vo un ke āstāne kyā hue sab
purānā peḌ bargad kā kahāñ hai
parindoñ ke Thikāne kyā hue sab
kahāñ haiñ shahr ke be-fikr bachche
masarrat ke ḳhazāne kyā hue sab
barastī thī mohabbat āsmāñ se
vo bārish ke zamāne kyā hue sab
tire ash.ār par ye chup sī kyuuñ hai
'nazar' tere divāne kyā hue sab
dil-o-jaan ke fasane kya hue sab
mohabbat ke tarane kya hue sab
yahan kuchh sufiyon ka ghar tha pahle
wo un ke aastane kya hue sab
purana peD bargad ka kahan hai
parindon ke Thikane kya hue sab
kahan hain shahr ke be-fikr bachche
masarrat ke KHazane kya hue sab
barasti thi mohabbat aasman se
wo barish ke zamane kya hue sab
tere ashaar par ye chup si kyun hai
'nazar' tere diwane kya hue sab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.