dil-o-jigar ka faraham jo kuchh lahu karte
dil-o-jigar kā farāham jo kuchh lahū karte
to phir namāz-e-mohabbat kā ham vuzū karte
maze ajal ke bayāñ un ke rū-ba-rū karte
masīh-o-ḳhizr bhī marne kī aarzū karte
vo apne husn pe nāzāñ kabhī nahīñ hote
jo aa.ina vo kabhī apne rū-ba-rū karte
jo apne dast-e-junūñ ko qarār aa jaatā
to chāk-e-dil ko kahīñ baiTh kar rafū karte
milā huā thā gale se mire vo gul 'nashtar'
tamām umr huī jis kī justujū karte
dil-o-jigar ka faraham jo kuchh lahu karte
to phir namaz-e-mohabbat ka hum wuzu karte
maze ajal ke bayan un ke ru-ba-ru karte
masih-o-KHizr bhi marne ki aarzu karte
wo apne husn pe nazan kabhi nahin hote
jo aaina wo kabhi apne ru-ba-ru karte
jo apne dast-e-junun ko qarar aa jata
to chaak-e-dil ko kahin baiTh kar rafu karte
mila hua tha gale se mere wo gul 'nashtar'
tamam umr hui jis ki justuju karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.