dil-o-nazar ke liye lutf-e-na-gahan ban kar
dil-o-nazar ke liye lutf-e-nā-gahāñ ban kar
javānī aa.ī thī ik ḳhvāb-e-rā.egāñ ban kar
vo shāḳh-e-gul hameñ aksar qafas meñ yaad aa.ī
jo nazr-e-barq huī saqf-e-āshiyāñ ban kar
vo giit mutrib-e-ātish-navā sunā mujh ko
jo aa sake lab-e-ushshāq par fuġhāñ ban kar
jo aaj tak kisī uslūb se bayāñ na huā
vo raaz aaj khulā un kī dāstāñ ban kar
na rahnumā hai na manzil na raah ai 'nayyar'
ye log chal diye kis samt kārvāñ ban kar
dil-o-nazar ke liye lutf-e-na-gahan ban kar
jawani aai thi ek KHwab-e-raegan ban kar
wo shaKH-e-gul hamein aksar qafas mein yaad aai
jo nazr-e-barq hui saqf-e-ashiyan ban kar
wo git mutrib-e-atish-nawa suna mujh ko
jo aa sake lab-e-ushshaq par fughan ban kar
jo aaj tak kisi uslub se bayan na hua
wo raaz aaj khula un ki dastan ban kar
na rahnuma hai na manzil na rah ai 'nayyar'
ye log chal diye kis samt karwan ban kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.