dil o nazar pe tere baad kya nahin guzra
dil o nazar pe tire ba.ad kyā nahīñ guzrā
tujhe gumāñ ki koī hādsa nahīñ guzrā
vahāñ vahāñ bhī mujhe le gayā hai shauq-e-safar
kabhī jahāñ se koī qāfila nahīñ guzrā
agarche tū bhī nahīñ ab diloñ kī duniyā meñ
magar yahāñ koī tere sivā nahīñ guzrā
ham ab to us ko bhī ik hādsa samajhte haiñ
ḳhayāl thā ki koī hādsa nahīñ guzrā
kabhī kabhī nazar aa.ī umiid bhī 'shahzād'
hamārā vaqt kabhī ek sā nahīñ guzrā
dil o nazar pe tere baad kya nahin guzra
tujhe guman ki koi hadsa nahin guzra
wahan wahan bhi mujhe le gaya hai shauq-e-safar
kabhi jahan se koi qafila nahin guzra
agarche tu bhi nahin ab dilon ki duniya mein
magar yahan koi tere siwa nahin guzra
hum ab to us ko bhi ek hadsa samajhte hain
KHayal tha ki koi hadsa nahin guzra
kabhi kabhi nazar aai umid bhi 'shahzad'
hamara waqt kabhi ek sa nahin guzra
- Book : Deewar pe dastak (Pg. 233)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.