dil-o-nigah ke husn-o-qarar ka mausam
dil-o-nigāh ke husn-o-qarār kā mausam
vo terī yaad tire intizār kā mausam
jhukī hai aañkh ka.ī rat-jage sameTe hue
chhupā hai lams meñ kaisā ḳhumār kā mausam
hamāre pyaar ne umr-e-davām māñgī hai
hameñ qubūl nahīñ thā udhār kā mausam
firāq lamhoñ ko ham ne hasīñ banāyā hai
sajā ke dil meñ tire e.atibār kā mausam
milī nigāh to ik pal meñ ham pe guzrā hai
karoḌ qurbatoñ lākhoñ qarār kā mausam
hamāre pyaar kī ye bhī adā nirālī hai
ḳhizāñ kī rut meñ manāyā bahār kā mausam
dil-o-nigah ke husn-o-qarar ka mausam
wo teri yaad tere intizar ka mausam
jhuki hai aankh kai rat-jage sameTe hue
chhupa hai lams mein kaisa KHumar ka mausam
hamare pyar ne umr-e-dawam mangi hai
hamein qubul nahin tha udhaar ka mausam
firaq lamhon ko hum ne hasin banaya hai
saja ke dil mein tere eatibar ka mausam
mili nigah to ek pal mein hum pe guzra hai
karoD qurbaton lakhon qarar ka mausam
hamare pyar ki ye bhi ada nirali hai
KHizan ki rut mein manaya bahaar ka mausam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.