dil-o-nigah ko kab in ka mustaqar jaana
dil-o-nigāh ko kab in kā mustaqar jaanā
ḳhayāl-o-ḳhvāb ko ik arsa-e-safar jaanā
tumhāre ḳhvāb pas-andāz kar liye ham ne
aur apne aap ko phir kitnā mo'atabar jaanā
ye kārvāñ to na jaane kahāñ talak jaa.e
tumheñ jahāñ kahīñ manzil mile Thahar jaanā
guhar sadaf meñ na rahtā to phir kahāñ rahtā
us ek qatre ko kis ne azīz-tar jaanā
sarisht hai yahī us kī bachā.egā dāman
agar vo baat badal de to zabt kar jaanā
samajh to lene do in nafratoñ kā koī javāz
phir is ke baad mire dil se bhī utar jaanā
jo kuchh kahā use ahvāl-e-vāqa.ī samjhā
jo sachchā sher na samjhā use hunar jaanā
baḌā sukūn baḌī āfiyat milegī 'nasīm'
kisī kī bazm se uTTho to apne ghar jaanā
dil-o-nigah ko kab in ka mustaqar jaana
KHayal-o-KHwab ko ek arsa-e-safar jaana
tumhaare KHwab pas-andaz kar liye hum ne
aur apne aap ko phir kitna mo'atabar jaana
ye karwan to na jaane kahan talak jae
tumhein jahan kahin manzil mile Thahar jaana
guhar sadaf mein na rahta to phir kahan rahta
us ek qatre ko kis ne aziz-tar jaana
sarisht hai yahi us ki bachaega daman
agar wo baat badal de to zabt kar jaana
samajh to lene do in nafraton ka koi jawaz
phir is ke baad mere dil se bhi utar jaana
jo kuchh kaha use ahwal-e-waqai samjha
jo sachcha sher na samjha use hunar jaana
baDa sukun baDi aafiyat milegi 'nasim'
kisi ki bazm se uTTho to apne ghar jaana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.