dil paemal-e-ranj hai lutf-o-ata ke sath
dil paemal-e-ranj hai lutf-o-ata ke sath
Syed Bashir Husain Bashir
MORE BYSyed Bashir Husain Bashir
dil pā.emāl-e-ranj hai lutf-o-atā ke saath
sab kuchh hameñ jahāñ meñ milā hai sazā ke saath
laatī hai DhūñDh DhūñDh ke aafat na.ī na.ī
merī to zindagī hai nuzūl-e-balā ke saath
kyūñ-kar hamāre dil ko asar kā yaqīñ na ho
jaarī hai lab pe naam tumhārā duā ke saath
ḳhūn-e-rag-e-husain pe qurbān jā.iye
kyā kyā milā hai ma.arka-e-karbalā ke saath
ai nāḳhudā safīna ye maanā bhañvar meñ hai
mumkin nahīñ ki tujh ko pukārūñ ḳhudā ke saath
mere liye to maut naved-e-hayāt hai
lillāh koī zahr pilā de davā ke saath
mujh ko hai kaif-e-ishq se nisbat vahī 'bashīr'
nisbat hai jaise nai ko ḳhud apnī sadā ke saath
dil paemal-e-ranj hai lutf-o-ata ke sath
sab kuchh hamein jahan mein mila hai saza ke sath
lati hai DhunDh DhunDh ke aafat nai nai
meri to zindagi hai nuzul-e-bala ke sath
kyun-kar hamare dil ko asar ka yaqin na ho
jari hai lab pe nam tumhaara dua ke sath
KHun-e-rag-e-husain pe qurban jaiye
kya kya mila hai marka-e-karbala ke sath
ai naKHuda safina ye mana bhanwar mein hai
mumkin nahin ki tujh ko pukarun KHuda ke sath
mere liye to maut nawed-e-hayat hai
lillah koi zahr pila de dawa ke sath
mujh ko hai kaif-e-ishq se nisbat wahi 'bashir'
nisbat hai jaise nai ko KHud apni sada ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.