dil-paron ki hum jo nigahbani karte
dil-pāroñ kī ham jo nigahbānī karte
nuur sahāre apnī nigarānī karte
hote ham bhī gar ajdād kī fitrat par
shola-zāroñ meñ gul-afshānī karte
pyaar bharosa shafqat kho dete sab kuchh
kaise baḌoñ kī ham nā-farmānī karte
kal jo agar saḳhtī se pesh aa.e hote
ham bhī apne ghar meñ sultānī karte
dūr-nigāhī diida phāḌe baiThī thī
kis kāfir ke sañg musalmānī karte
sar Takrāte chup ko dete goyā.ī
yuuñ ma.ashūq ko but ḳhud ko maanī karte
dil-paron ki hum jo nigahbani karte
nur sahaare apni nigarani karte
hote hum bhi gar ajdad ki fitrat par
shola-zaron mein gul-afshani karte
pyar bharosa shafqat kho dete sab kuchh
kaise baDon ki hum na-farmani karte
kal jo agar saKHti se pesh aae hote
hum bhi apne ghar mein sultani karte
dur-nigahi dida phaDe baiThi thi
kis kafir ke sang musalmani karte
sar Takraate chup ko dete goyai
yun mashuq ko but KHud ko mani karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.