dil par jami paDi hai kai dilbaron ki KHak
dil par jamī paḌī hai ka.ī dilbaroñ kī ḳhaak
har samt uḌ rahī hai ga.e mausamoñ kī ḳhaak
ham ko bhī hissa dījiye ham bhī haiñ hissa-dār
sar meñ hamāre Dāliye ujḌe gharoñ kī ḳhaak
rasta bhī dhuul ho gayā manzil bhī ik ġhubār
aapas meñ baañT lījiye ab rahbaroñ kī ḳhaak
dariyā ke paas hote koī tishna-lab mire
uḌtī hai phir vahāñ pe sadā pāniyoñ kī ḳhaak
sastoñ ke haath aa ga.ī saste meñ bech dī
varna to jaañ se mahñgī thī mere baḌoñ kī ḳhaak
dil par jami paDi hai kai dilbaron ki KHak
har samt uD rahi hai gae mausamon ki KHak
hum ko bhi hissa dijiye hum bhi hain hissa-dar
sar mein hamare Daliye ujDe gharon ki KHak
rasta bhi dhul ho gaya manzil bhi ek ghubar
aapas mein banT lijiye ab rahbaron ki KHak
dariya ke pas hote koi tishna-lab mere
uDti hai phir wahan pe sada paniyon ki KHak
saston ke hath aa gai saste mein bech di
warna to jaan se mahngi thi mere baDon ki KHak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.