dil par jo guzarte hain wo gham dekh rahe hain
dil par jo guzarte hain wo gham dekh rahe hain
Ghulam Dastageer Sharar
MORE BYGhulam Dastageer Sharar
dil par jo guzarte haiñ vo ġham dekh rahe haiñ
apnoñ kī ināyāt-o-karam dekh rahe haiñ
nazdīk haiñ vo jaag uThā apnā muqaddar
ye ḳhvāb khulī āñkhoñ se ham dekh rahe haiñ
shab ḳhvāb meñ royā thā koī ham se lipaT kar
ham sub.h ke dāman ko bhī nam dekh rahe haiñ
ye aur haiñ din vaqt gayā but-shikanī kā
sajte hue patthar ke sanam dekh rahe haiñ
miltī nahīñ jin ko mire mahbūb kī chaukhaT
auroñ ke nishānāt-e-qadam dekh rahe haiñ
fan bechnā paḌtā hai 'sharar' husn-e-zarūrat
bechārgī-e-ahl-e-qalam dekh rahe haiñ
dil par jo guzarte hain wo gham dekh rahe hain
apnon ki inayat-o-karam dekh rahe hain
nazdik hain wo jag uTha apna muqaddar
ye KHwab khuli aankhon se hum dekh rahe hain
shab KHwab mein roya tha koi hum se lipaT kar
hum subh ke daman ko bhi nam dekh rahe hain
ye aur hain din waqt gaya but-shikani ka
sajte hue patthar ke sanam dekh rahe hain
milti nahin jin ko mere mahbub ki chaukhaT
auron ke nishanat-e-qadam dekh rahe hain
fan bechna paDta hai 'sharar' husn-e-zarurat
bechaargi-e-ahl-e-qalam dekh rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.