dil par jo teri yaad ka pahra nahin hota
dil par jo tirī yaad kā pahrā nahīñ hotā
sāgar kī tarah zaḳhm bhī gahrā nahīñ hotā
ḳhvāboñ kā bahut dekhnā achchhā nahīñ hotā
har ḳhvāb yaqīnan kabhī sachchā nahīñ hotā
marzī hai mirī jis ko bhī chāhūñ use dekhūñ
āñkhoñ pe kisī zaat kā pahrā nahīñ hotā
lillāh tabīboñ ko dikhāte ho mujhe kyoñ
is TuuTe hue dil kā mudāvā nahīñ hotā
niklā hai kahāñ ret meñ tū pyaas bujhāne
sahrā meñ jo dikhtā hai vo dariyā nahīñ hotā
hoñToñ ko nujūmī ke jo siinā hai to sī do
taqdīr kā likkhā kabhī jhūTā nahīñ hotā
koī na agar chhīntā bachche kā nivālā
vo peT pakaḌ kar kabhī soyā nahīñ hotā
'svāmī' zarā sūraj ko samundar se nikālo
thak-hār ke yuuñ Dūbnā achchhā nahīñ hotā
dil par jo teri yaad ka pahra nahin hota
sagar ki tarah zaKHm bhi gahra nahin hota
KHwabon ka bahut dekhna achchha nahin hota
har KHwab yaqinan kabhi sachcha nahin hota
marzi hai meri jis ko bhi chahun use dekhun
aankhon pe kisi zat ka pahra nahin hota
lillah tabibon ko dikhate ho mujhe kyon
is TuTe hue dil ka mudawa nahin hota
nikla hai kahan ret mein tu pyas bujhane
sahra mein jo dikhta hai wo dariya nahin hota
honTon ko nujumi ke jo sina hai to si do
taqdir ka likkha kabhi jhuTa nahin hota
koi na agar chhinta bachche ka niwala
wo peT pakaD kar kabhi soya nahin hota
'swami' zara suraj ko samundar se nikalo
thak-haar ke yun Dubna achchha nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.