Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil par kisi patthar ka nishan yun hi rahega

Inam Nadeem

dil par kisi patthar ka nishan yun hi rahega

Inam Nadeem

dil par kisī patthar nishāñ yuuñ rahegā

tā-umr ye shīshe makāñ yuuñ rahegā

ham Thahre raheñge kisī tābīr ko thāme

āñkhoñ meñ koī ḳhvāb ravāñ yuuñ rahegā

hai dhund meñ Duubā huā is shahr manzar

kyā jāniye kab tak ye samāñ yuuñ rahegā

kuchh der rahegī abhī bāzār raunaq

kuchh der ye hone gumāñ yuuñ rahegā

bujh jā.egā ik roz tirī yaad shola

lekin mire siine meñ dhuāñ yuuñ rahegā

lau de to rahā hai mire ḳhvāboñ ke ufuq par

lekin ye sitāra bhī kahāñ yuuñ rahegā

dil par kisi patthar ka nishan yun hi rahega

ta-umr ye shishe ka makan yun hi rahega

hum Thahre rahenge kisi tabir ko thame

aankhon mein koi KHwab rawan yun hi rahega

hai dhund mein Duba hua is shahr ka manzar

kya jaaniye kab tak ye saman yun hi rahega

kuchh der rahegi abhi bazar ki raunaq

kuchh der ye hone ka guman yun hi rahega

bujh jaega ek roz teri yaad ka shola

lekin mere sine mein dhuan yun hi rahega

lau de to raha hai mere KHwabon ke ufuq par

lekin ye sitara bhi kahan yun hi rahega

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now