dil par nahin hum chhae hain zehnon ke jahan tak
dil par nahin hum chhae hain zehnon ke jahan tak
Hosh Nomani Rampuri
MORE BYHosh Nomani Rampuri
dil par nahīñ ham chhā.e haiñ zehnoñ ke jahāñ tak
tum ne abhī paa.e nahīñ manzil ke nishāñ tak
phir bahs hai tafsīl se har chā.e-kade meñ
zardār ke aivān se muflis ke jahāñ tak
ye vaqt se pahle kī sadā rañg na laa.e
suunā na pahuñch jaa.e kahīñ rūd-e-garāñ tak
bikhrī huī tārīḳh kī phir jild bañdhegī
mazlūm kī fariyād se zālim ke bayāñ tak
ahbāb se ai hosh ayādat kā gilā kyā
tahsīl pe tum aa.e na saa.ib kī dukāñ tak
dil par nahin hum chhae hain zehnon ke jahan tak
tum ne abhi pae nahin manzil ke nishan tak
phir bahs hai tafsil se har chae-kade mein
zardar ke aiwan se muflis ke jahan tak
ye waqt se pahle ki sada rang na lae
suna na pahunch jae kahin rud-e-garan tak
bikhri hui tariKH ki phir jild bandhegi
mazlum ki fariyaad se zalim ke bayan tak
ahbab se ai hosh ayaadat ka gila kya
tahsil pe tum aae na saib ki dukan tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.