dil par tere hijran mein qayamat ki ghaDi hai
dil par tire hijrāñ meñ qayāmat kī ghaḌī hai
ehsās ke tābūt meñ ik laash paḌī hai
kīchaḌ kā takalluf na karo shahr ke logo
āñchal pe to rusvā.ī kī ik chhīñT baḌī hai
siine se lago hañs ke rahe yaad ye lamha
kho kar hameñ rone ko to ik umr paḌī hai
mumkin hai to ik baar use toḌ de aa kar
barsoñ hue dahlīz pe ummīd khaḌī hai
kis tarah mirī ḳhaak se niklegī vo sūrat
āñkhoñ meñ basī hai to kahīñ dil maiñ gaḌī hai
siine meñ na.ī saañs utārī hai kisī ne
barsoñ se paḌī gard mire dil se jhaḌī hai
koshish to bahut kī thī ki shīshe meñ utārūñ
tasvīr bhī us shaḳhs kī pathar meñ jaḌī hai
dil par tere hijran mein qayamat ki ghaDi hai
ehsas ke tabut mein ek lash paDi hai
kichaD ka takalluf na karo shahr ke logo
aanchal pe to ruswai ki ek chhinT baDi hai
sine se lago hans ke rahe yaad ye lamha
kho kar hamein rone ko to ek umr paDi hai
mumkin hai to ek bar use toD de aa kar
barson hue dahliz pe ummid khaDi hai
kis tarah meri KHak se niklegi wo surat
aankhon mein basi hai to kahin dil main gaDi hai
sine mein nai sans utari hai kisi ne
barson se paDi gard mere dil se jhaDi hai
koshish to bahut ki thi ki shishe mein utarun
taswir bhi us shaKHs ki pathar mein jaDi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.