dil parastar-e-hawas ho kar raha
dil parastār-e-havas ho kar rahā
ishq apnī azmateñ kho kar rahā
aañkh uTThī thī ki dil se haath dho.e
jis kā dhaḌkā thā vahī ho kar rahā
shām-e-ġham kī zulmatoñ meñ terā zikr
ḳhanda-e-nūr-e-sahar ho kar rahā
dil pe kyā ilzām deñ 'fitrat' ki dil
be-sabab zer-o-zabar ho kar rahā
dil parastar-e-hawas ho kar raha
ishq apni azmaten kho kar raha
aankh uTThi thi ki dil se hath dhoe
jis ka dhaDka tha wahi ho kar raha
sham-e-gham ki zulmaton mein tera zikr
KHanda-e-nur-e-sahar ho kar raha
dil pe kya ilzam den 'fitrat' ki dil
be-sabab zer-o-zabar ho kar raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.