dil pareshan aankh viran aur hum
dil pareshāñ aañkh vīrāñ aur ham
haiñ hazāroñ ranj-o-hirmāñ aur ham
ik taraf vo aur bazm-e-fasl-e-gul
ik taraf hai chāk-e-dāmāñ aur ham
dil-shikasta ruuh be-kal ashk-e-ḳhūñ
ye hamārā sāz-o-sāmāñ aur ham
jī rahe haiñ ham bhī kaisī zindagī
zaḳhm-ḳhurda apne armāñ aur ham
mashġhala hai ek muddat se yahī
justujū-e-zauq-e-irfāñ aur ham
dil pareshan aankh viran aur hum
hain hazaron ranj-o-hirman aur hum
ek taraf wo aur bazm-e-fasl-e-gul
ek taraf hai chaak-e-daman aur hum
dil-shikasta ruh be-kal ashk-e-KHun
ye hamara saz-o-saman aur hum
ji rahe hain hum bhi kaisi zindagi
zaKHm-KHurda apne arman aur hum
mashghala hai ek muddat se yahi
justuju-e-zauq-e-irfan aur hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.