dil pareshan mera gardish-e-haalat se hai
dil pareshān mirā gardish-e-hālāt se hai
ek ummīd bahar-hāl tirī zaat se hai
kab zamāne se bhalā daad talab kī maiñ ne
kam se kam tum ko sukūñ to mire naġhmāt se hai
mujh ko duniyā kī tavajjoh kī zarūrat kyā hai
tū to āgāh ilāhī mire hālāt se hai
ab mujhe terī judā.ī kā koī ranj nahīñ
haañ magar thoḌā gila apne hī hālāt se hai
kyā karūñ tujh se bichhaḌ kar maiñ kahāñ jā.uñgā
merī sāñsoñ meñ ramaq tere javābāt se hai
apne dushman ko bhī dushman nahīñ samjhā maiñ ne
zindagī tū bhī to vāqif mire hālāt se hai
kaun huuñ kyā huuñ haqīqat mirī kyā hai 'afsar'
vāsta aap ko bhī aise savālāt se hai
dil pareshan mera gardish-e-haalat se hai
ek ummid bahar-haal teri zat se hai
kab zamane se bhala dad talab ki main ne
kam se kam tum ko sukun to mere naghmat se hai
mujh ko duniya ki tawajjoh ki zarurat kya hai
tu to aagah ilahi mere haalat se hai
ab mujhe teri judai ka koi ranj nahin
han magar thoDa gila apne hi haalat se hai
kya karun tujh se bichhaD kar main kahan jaunga
meri sanson mein ramaq tere jawabaat se hai
apne dushman ko bhi dushman nahin samjha main ne
zindagi tu bhi to waqif mere haalat se hai
kaun hun kya hun haqiqat meri kya hai 'afsar'
wasta aap ko bhi aise sawalat se hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.