dil patthar ke lab patthar ke
dil patthar ke lab patthar ke
jis ko dekho sab patthar ke
galiyāñ chaukhaT dīvār-o-dar
is bastī meñ sab patthar ke
kab bhīgī haiñ un kī palkeñ
dil pighle haiñ kab patthar ke
biit ga.e phūloñ ke mausam
lauT aa.e din ab patthar ke
insānoñ kī baat ko chhoḌo
mandir masjid sab patthar ke
lauT aayā hai ahd-e-māzī
charche roz-o-shab patthar ke
jin ko apnā rab samjhā thā
vo bhī nikle sab patthar ke
un se kyā 'parvez' kaheñ ham
log mile hoñ jab patthar ke
dil patthar ke lab patthar ke
jis ko dekho sab patthar ke
galiyan chaukhaT diwar-o-dar
is basti mein sab patthar ke
kab bhigi hain un ki palken
dil pighle hain kab patthar ke
bit gae phulon ke mausam
lauT aae din ab patthar ke
insanon ki baat ko chhoDo
mandir masjid sab patthar ke
lauT aaya hai ahd-e-mazi
charche roz-o-shab patthar ke
jin ko apna rab samjha tha
wo bhi nikle sab patthar ke
un se kya 'parwez' kahen hum
log mile hon jab patthar ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.