dil pe giran hai zikr-e-firaq-o-visal bhi
dil pe girāñ hai zikr-e-firāq-o-visāl bhī
guzre haiñ tere baad ka.ī māh-o-sāl bhī
tark-e-ta.alluqāt pe nādim hai vo bahut
auroñ se pūchhtā hai vo ab merā haal bhī
nākām ishq zinda-e-jāved ho ga.e
tārīḳh-e-ishq detī hai aisī misāl bhī
kyā ishq mere daur meñ nāpaid ho gayā
aatā hai gāhe-gāhe ye dil meñ ḳhayāl bhī
dil phir kisī kī yaad se ghabrā gayā 'ġhazal'
lagtī hai aaj mujh ko tabī.at niDhāl bhī
dil pe giran hai zikr-e-firaq-o-visal bhi
guzre hain tere baad kai mah-o-sal bhi
tark-e-talluqat pe nadim hai wo bahut
auron se puchhta hai wo ab mera haal bhi
nakaam ishq zinda-e-jawed ho gae
tariKH-e-ishq deti hai aisi misal bhi
kya ishq mere daur mein napaid ho gaya
aata hai gahe-gahe ye dil mein KHayal bhi
dil phir kisi ki yaad se ghabra gaya 'ghazal'
lagti hai aaj mujh ko tabiat niDhaal bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.